Note: In order to make it an easy understanding of local phrases and words, "writing Hindi in English style" is used wherever found necessary.
Here presents a cursory glimpse with categorical description of all customs and rituals found in Nidana village:
Birth Customs (both of past as well as present):
Garbh thahrne par: God bharai
Janam se peeliya aane tak: Ghutti pilana, Thaali bajana, Choochi-dhuwaai, Goond ghalna, Chhati gana, Satiya banana - jachcha ke kamre mein saat daab ki seenk taangna, Janam ke 10 din baad bataase baantna aur dada ka bheli le ke jana, Naamkaran, Hawan karana, Kue pe jalwa-poojan karna, Baarne ke aage jalwa-poojan karna, Mama ka peeliya le ke aana jisme parivaar ka latta-chaal hota hai, Navjaat ko chand-suraj-ghunghroo-kadooli pahnana, |
|
Tota Bandhai ritual in local |
Jeevan paryant: Dor udahni, Baal-taraai, Daant niklne pe belwa jana, Har varsh janam-din manana,
Death Rituals (both of past as well as present):
From last breath to chita (pyre): Dharti pe litana, Johad se paani ki matki bhar ke lana, Nahlana, Naye kapde pahnana, Baans-pooli ki arthi banana, Antim-sanskar ki samgri taiyaar karna, Chaar kandho dwara samsaan le ke jana, Jis raste arthi jaaye uspe chhoton ke dwara phool bakherna, Gosson ki chita bana ke taiyaar rakhna, Putr-putri dwara chita ko mukhagni dena, Logon dwara chita ko paani dena,
Terah din tak shouk manana: Terah din tak dharti pe baithna, logon ka shantwna-shouk parkat karne aana, Terahnvi pe hawan karwana, 2 rotiyaan gaai ko khilana, Hawan karwaane waale ko bhojan karwana, Agar mritak bahut vriddh raha ho to laddoo banana
Chita ki rakh sametna: Teen din baad agar parivar chaahe to chita ki rakh se phool-chugna, Fir chita ki raakh ko sametna, Agar parivaar chaahe to ikkththe kiye hue phoolon ko garh-ganga mein visarjit karke aana,
Satrahvi-mahina: Hawan karwana, Gareebon aur manyaa logon ko khana karwana
Chh-maahi: Hawan karwana, Gareebon aur manyaa logon ko khana karwana
Varshodhi: Hawan karwana, Gareebon aur manyaa logon ko khana karwana,
Kanagat: Har saal kanagat ke mahine mein apni ichcha anusaar manniya pandit ko khaana khilana aur pooja karwana
Choice to remarriage for Widow (both of past as well as present):
Kareva-Latta udhaai: Vidhwa ki marji ke anusaar uske liye uske pati ke parivaar se upyukt var se uska punr-vivaah karwana, Agar vidhwa akela rahna chaahe to uski marji pe chhod dena
Marriage Rituals (of present era):
Ladke-ladki ko milwana, dono ki prtikriya le ke jwaab dena, dono taraf se haa ho to god bharai-engagement karna, khud byaah le ke jana, chhalle le ke jana, dulhe ke welcome mein ribbon katwana, mithaai khilana.
Past plus Present:
Sagai se Baan baithne tak: Nai ka sagai karke aana, Nai ka byaah le jana, Pandit ka teva likhna, Nai ka teva le ke jana, Kaane ke liye kaani, Langde ke liye langdi ka milan bithana, Shadi se 7 din pahle Baan baithna suru karna, Har-roj tel chadana aur utaarna, Doomni ka dhol bajana aur aurton dwara baan-geet gana
Maa ka bhaat nyond ke aana: Maa-hone wala dulha ya dulhan aur pita ka maa ke peehar jana aur mama ke ghar ko shadi mein nimantran de ke aana aur waha geet-sandhya karke aana, bad-bhatiyon key aha daadi ka bhaat nyond ke aana
Anya ristedaaron ko nimantaran: Ghar ke jamaiyon ke yaha peele chawal aur shagun ke saath naai ko bhejna, mitron ko sada nimatran part bhejna
Melmaanda wala din: Sabse pahle bhaatiyon ko minna, mama ka bhaat bharna, gaon ke logon ko shadi-bhoj karwana, Shaam ke waqt gaon mein ghodi pe Kesuhda firana, Shadishuda bahan ka bhaai ko kesuhde pe chawal maarna, Kesuhade ke aage band pe doston-ristedaaron ka naachna, Jis gali se bhi kesuhda nikle us gali ke logon dwara dulhe ko doodh-pilana aur shagun dena, Doom ka kesuhade kea aage dhonsa bajana, Kesuhada waali raat dulhe ka apne ghar ko chhod chacha-tau ke ghar pe sona aur waha geet-sangeet ka program hona,
Bhoj (gaon har jaati ke numainde ko shadi ke ghar pe choudhary banke sara din rahne ka nyota): Shadi ke bhoj waale din, gaon ki har jaati ki moujij yaani parmukh aadmi ko, shadi waal ghar ke swagat dwaar ke aage mehmaanon ke swagat hetu baithne ka nimantrn diya jata hai.....ladki ki shadi ho to kanydaan ko lene ki jimmedaari shadi waale ghar ko chhod kar baaki kisi bhi visniy ko di jaati hai....shadi waale din pe yah mithya door hoti najar aati hai jisko jaatiwaad kahte hain....halanki kai log hain aise jo saath baithne mein to parhej nahin karte parntu saath khana khaane mein parhej karte hain,
Baraat-Chadaai: Agli subah oont-rath-ghodi-rehdu ki swaari se baraat ka chadna, dulhe ki maa dwara dulhe ko doodh pilaane ka shagun karna, aurton dara baaraat chadai ke geet gana, baarat ka sasuraal ki firni pe pahunchana, Naai ka aage ja ke sasural waalon ko baarat ke pahunchne ki khabar dena, sasural waalon ka baarat ke swagat mein firni pe aana aur baaraat ko gaon ki choupal-paras mein padharne ka nimantaran dena, barat ka chai-nasta karna, (aaj se teesri peedhi ke time: 3 din tak baraat ka rukna aur har baraati ke 3 din tak thahrne ka parbandh karna), baraat ko dopahar bhoj ke liye bulaava bhejna, baraat ka band ke saath bhojan karke aana,
Dhukaaw-Fere: Sasural waalon ka shagun ka samaan le ke paras mein aana, dulhe ka tika-karan karna aur dulhe v barat ko dhukaaw pe aane ke liye nimntrit karna, dulhe ka dulhan ke dwaar pe aana, saaliyon aur dulhan dwara dulhe ka swagat karna, saaliyon ko baar-rukaai dena, pandit dwara fere suru karna, aurton dwara baraatiyon ko bhaari-bhaari seentne dena, ladki ko feron ke liye bulana, mama ka ladki mandap mein lana, saaliyon ka joota chhupaai karna, feron ke baad dhukaaw hona, thaappa mehndi ki rasm hona,
Dulhan ki vidaai: mama ka dulhan ko rath mein baithana, ladki dwara chowal chhodna, gaon ki seema se niklte hi ladki dwara rakhdi khol ke fenkna, bhaai ka saath jana
Bahu utarwaai: rath mein bahu ka sasural pahunchana, saas aur ghar ki aurton dwara bahu ko utarna, sar pe aatti-lota rakhna, bahu ka sassu dwara minna, nand dwara baar rukaai lena, thaappe lagana, saas ka munh dikhaai dena, saari family ka munh dikhaai dena, nanand ke dwara suit uthana, kaangna khulaai, gate pe gheru ke thaape, peepal ke patte lagana,
Shadi ki agli subah: dulhe-dulhan ka gaon ke devi-devtaon ko poojna, gaon ke johad pe ladke-ladki ko kholne ke liye unse hansi-mjaak bhare khel khilwana, dulhan ka waapis peehar ko lotna, ghar pe sasural ke bare mein bata apni khusi batana aur fir usi din waapis sasural chale jana
Maa ka bhaat moud ke aana: Shadi ke sab kaam sukhad nibtane pe maa ka peehar mein sabko ye bataane jana ki naya rista sahi juda hai aur don paks khus hain aur saath waha geet-sangeet ka program karwana
After marriage: Past-present both: Doosar, Teessr, Chhuchhak, Raakhi, Peeliya, Seedha, Kothli, Fisrt Saawan at Peehar, First Kothli from sasural side,
New house building customs:
Present: Hawana karwana, saat kanya bithana
Past plus Present: Tota Bandhaai, Yag on grah-pravesh, budhdhon ko bhojan khilana, nanand ka dhoggad rakhna, chhat dene pe ghee ka diya lagana, khaati ke utrane pe bade-budhdhon ko bhojan khilana, nanand ko paise-suit dena
Fasts and Worshipping Traits:
Fasts practiced by women:
Present: Govardhan pooja, Aadhi raat ka vart, Navraatra, Somvaar, Aitwaar, Shaniwaar choraha poojna, Shukrwaar, Karwachoth,
Past plus Present: Poornima, Janmastmi, Holi, Saattm, Deh-uthani gyaas, Shivratri, Monday, Friday
Fasts practiced by men:
Past present both: Mangalwar
(in due respect to Lord Hanuman Ji)